Motapaa kam karne ke gharelu upaye, Nuskhe

Motapaa kam karne ke gharelu upaye, Nuskhe – Aaj ke is yug me adhiktar inshan motaape se pareshan hai. vajan kab badh jata hai kisi ko pataa hi nhin chalta. pataa tab chalta hai jab kapde chhote hone lagte hai. vajan badhne me pet ki charbi teji se badhti hai. har insaan isi motaape se behad pareshan hai. motaape ko kam karne ke liye na jaane kitne tareeke apnaaye honge phir bhi vajan kam nhin huaa. mote hone se kahin mushkil hai motaape ko kam karnaa. motaape se vyakti ki sundarta bhi kam hoti hai. Motaape ki vajah se hi shareer me bahut si beemari hone ka khatraa rahta hai. Motaape ko kam karne ke liye ham aapko kuch asardaar gharelu upaaye btaayenge aap inhe apnakar motaapa kam kar sakte hai. 8 Din me motapaa kam karne ke gharelu upaye, Nuskhe 

जाने – खुश रहने के 7 तरीके

जाने – गुस्सा कम करने के 8 तरीके 

Home Remedies for weight Loss in Hindi

Motapaa kam karne ke gharelu upaye, Nuskhe

1. Subah uthkar binaa kuch khaye khali pet kam se kam 1 gilaas pani piye. is kiryaa ko aap har roj karen. subah khali pet pani peene se aapki paachan kiryaa acchi rahegi. paachan kiryaa acchi rahne se aapke vajan badhne ki sambhavnaa naa ke baraabar rah jayegi. or aap mote hone se bach sakte hai.
2. Agar aap chay peene ke aadi hai to aap dudh ki chay naa pee karke green tea yaa phir binaa dudh ki chay peeye. green tea peene se aapke vajan badhne ki ummeed khatm ho jayegi. green tea se moataape ko kam karne me bhi laabh milegaa.
3. Agar aap meetha khane ke jyadaa shoukeen hai to aap motaapaa kam nhin kar sakte. motaapa kam karne ke liye aapko meethi cheezo ka sevan tyaagnaa hoga. agar aap chay peena chahte hai to usme cheeni halki matra me daalen. meethi cheezo ka sevan naa ki barabar hi karen to bhi jyadaa accha hai.

Motapaa kam karne ke gharelu upaye, Nuskhe4. Khane me salaad ka sevan jyadaa karen. hari sabji jyadaa se jyadaa khayen. Khana khate samay hari mirch, kheera, neembu or pyaaj ka sevan karen. ho sake to sabji banaane ke liye bhi hari mirch jyadaa prayog me layen. in sab tatvo ka aap apne khane me prayog karen aapke motaape ki samasyaa nhin rahegi. “Fast and Easy Weight Loss Tips in Hindi”
5. Khana khane ki aadat me thoda sa badlaav karen, khana ek samay me kam khaye bhale hi din me 5 baar khana khanaa pade. subah me naashtaa karne ke baad halka khanaa khayen. or dophar me ho sake to khana khane ki jagah fal khaye yaa salaad se kaam chaalyen jaise kheera, muli, gaajar in cheezon ko aap kha sakte hai. khana khaane ke baad ekdam aaraam na karen kyoki khana khane ke baad neend si aane lagti hai. ho sake to thoda tahal len jisse khana acche se pach jaaye.
6. Din me kam se kam 4 se 5 leetar pani jaroor piye. pani peene se aap peshaab ke liye jyadaa jayenge jisse aapke motaape ko kam karne me aasaani hogi. “8 Din me motapaa kam karne ke gharelu upaye, Nuskhe”
7. Agar aapke paas gym jaane ka samay nhin hai to aap ghar par hi vyayaam kar sakte hai. agar kahin paas me hi jana ho to aap bike ka istemaal naa karke paidal hi jaye. jitnaa ho sake din me jaydaa se jyadaa paidal chalne ki koshis karen. subah uthakar park me tahle.
8. Motaapa badhne ka ek kaaran sharaab bhi hai. sharaab peene wale vyakti motaape ka shikaar ho jaye hai. dhumrpaan naa karen. tale hui cheeze naa khayen. in sab baaton ko dhyaan me rakhte huye aap motaape par kaabu pa sakte hai.
jo ye baaten aaj hamne btaayi hai agar aap in baaton ke anusaar chalenge to aapka vajan nhin badhegaa. balki hone wali charbi ko kam kiyaa ja saktaa hai.

8 COMMENTS

Leave a Reply to Saini Cancel reply

Please enter your comment!
Please enter your name here